BOOK SUMMARY OF JATAKAPARIJATA (VOL. 2)
(Romanised in English): Is bhag ke adhyayon ka vivran is prakar hai-Navam Adhyay
main mandifal ka vistarpurvak vernan kiya gaya hai. Dasham adhyay main
ashtakaverga ka nirupan hai. Jis ashtakaverga ke nirupan main jyotirvidon ne
pustake bhar di hai usi ka sar ismain milega. Kis jataka ka kaun-sa vesh kaisa
jayega-iska is adhyay main vivechan kiya gaya hai. Gyarah se pandrah adhyayon
main bhavfal purnarupen kahe gaye hai. Solahven adhyay main striyon ki
janmkundali ka spasht vivran hai sattrahvein adhyay main kalchakradasha samjhai
gayee hai. Antim atharehvein adhyay main dashafal ka vichar aur anterdasha ka
vistrat vivran diya gaya hai.